1- 
Poetry 2011
 Poetry
Meri deewangi ko galatna samajhna,
maine chaha hai tumhe hadh se badhkar ,
meri zindagi se kabhi dur na jana,
maine paya hai tumhe kismat ki lakeeron se ladhkar...
2-
Hum to har ek ko apna kar rishta banate gaye
Jahan Jahan se Guzre apni yaad chodte gaye
Par kismat ka likha bhi ajeeb hai.
Gunehgar koi aur hum saza paate gaye
3-
Poetry 2011 
Poetry
Kitni jaldi yeh mulakat guzar jati hai
pyas bujhti nahi ke barsat guzar jati hai
Apni yaadon se keh do ke yun na aaya kare
neend aati nahi aur raat guzar jati hai
4-
Poetry 2011 
Poetry
 
Panchi ki tarhan khuli fizaaon mein
mein bhi urna chahati thi magar meri
yeh tamanna poori nahin huwi
hawa toh chalti rehti hai
zindagi bhi chalti rahegi
jaise chalta hai jonkha
hawa ka.!!!
5-
din raat aanhein bherte ho yaad me
par mohabbat ka izhaar kyun nahi kerte?
nazer se nazer takraati hai har baar
chaah ker bhi aankhen chaar kyun nahi kerte?
poocho hum se bhi hamare dil ke haalaat
ankhon me chupe pyar ka aitbaar kyun nahi kerte?
6-
Poetry 2011 
Poetry
Sab jaan ke bhi mujhse vo bhulaya na gaya
uske diye pyar ka koi bhi nishaan mitaya na gaya
chaha bahut maine ki dafan kar dun uski sab yaadein
vo tuti hui chudi vo barsaat ki raatein,
vo aaine pe lipstik ka nishan vo mahobaat ki baatein
mujhse mere hi dil pe ye juram dhaya na gaya
koi yaad uski na hi apni hateli se uska naam mitaya na gaya
7-
Maana K Bhul Jana Aap Ki Fitrat Hi Sahi
Magar Humein Bhul Jana Aap Ki Kismat MeiN Nahi
Agar Yaqeen Naho To Aazma K Dekh Lena
Apny Aap Ko Bhul Jaaoge Par Humein Nahi..
Humein Jab Kabhi Khushi Mehsoos Ki Hain
Har Kadam Pey Aap Ki Kami Mehsoos Ki Hain
Poetry 2011 
Poetry

Post a Comment